People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Ankhiyan Na Churao Balma
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aamne-Saamne/Ankhiyan-Na-Chur
hoy ankhiya na chura o balama
ankhiya na chura o balama, o sanu chadake na ja o jalima
na tod najariya ki dor ko ke phir pachhatayega
jo maine dil de diya kisi aur ko
ankhiya na chura o o balama, sanu chadake na ja o o jalima

dil ka shisha tut na jaye, tut na jaye, tut na jaye
hay dil ka shisha tut na jaye, ashiq tera ruth na jaye
daman na chhuda aa aa aa
daman na chhuda o balama, sanu chadake na ja o jalima
na tod najariya ki dor ko ke phir pachhatayega
jo maine dil de diya kisi aur ko
ankhiya na chura o o balama, sanu chadake na ja o o jalima

main dil wapas le jayunga, le jayunga, le jayunga
hay main dil wapas le jayunga, dard tujhe wo de jayunga
nahi jisaki dawa aa aa haye
nahi jisaki dawa o balama, sanu chadake na ja o o jalima
na tod najariya ki dor ko ke phir pachhatayega
jo maine dil de diya kisi aur ko
ankhiya na chura o o balama, sanu chadake na ja o o jalima

kismat mein tha tujhape marana, tujhape marana, tujhape marana
hay kismat mein tha tujhape marana, kya rakha hai tujhame warana
kuchh hai to bata aa aa aa
kuchh hai to bata o balama, sanu chadake na ja o jalima
na tod najariya ki dor ko ke phir pachhatayega
jo maine dil de diya kisi aur ko
ankhiya na chura o o balama, sanu chadake na ja o o jalima
Aajkal Humse Roothe Hua Hai Sanam
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aamne-Saamne/Aajkal-Hamse-Roo
aaj kal humse ruthe huye hai sanam
aaj kal humse ruthe huye hai sanam
pyaar me ho rahe hai sitam pe sitam lekin khuda ki kasam
honge jis roj hum aamane saamane
honge jis roj hum aamane saamane
saare shikawe gile dur ho jaayenge
aaj kal humse ruthe huye hai sanam

unke har naaj ki hamne taarif ki
unke har naaj ki hamne taarif ki
shukriya bhi na kehne ki taklif ki
hamne dekha toh parde me woh chhup gaye
hamne dekha toh parde me woh chhup gaye
kya pata tha woh magrur ho jaayenge
aaj kal humse ruthe huye hai sanam
aaj kal humse ruthe huye hai sanam

khubsurat hai woh aur maasum hai
khubsurat hai woh aur maasum hai
abb yeh baate kaha maalum hai
jo phasaane fakat apne honto pe hai
jo phasaane fakat apne honto pe hai
har gali me yeh mashhoor ho jaayenge
aaj kal humse ruthe huye hai sanam
aaj kal humse ruthe huye hai sanam

humko apni nigaaho pe hai aitbaar
humko apni nigaaho pe hai aitbaar
ek din unko kar denge hum bekaraar
jis tarah hum mohabbate me majbur hai
jis tarah hum mohabbate me majbur hai
iss tarah woh bhi majbur ho jaayenge
aaj kal humse ruthe huye hai sanam
pyaar me ho rahe hai sitam pe sitam
honge jis roj hum aamane saamane
honge jis roj hum aamane saamane
saare shikawe gile dur ho jaayenge
aaj kal humse ruthe huye hai sanam
Mere Bechain Dilko Chain
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aamne-Saamne/Mere-Bechain-Dil
o mere bechain dil ko chain tune diya
mere bechain dil ko chain tune diya
shukriya shukriya, o shukriya shukriya
o tera ehsaan jo pyaar tune kiya
tera ehsaan jo pyaar tune kiya
shukriya shukriya, o shukriya shukriya

kabhi khaabon mein maine aa aake
teri nind churaayi raaton mein
kabhi uljhaaya kabhi suljhaaya
teri julfon ko mulakaton mein
teri julfon ko mulakaaton mein
ho meri gustaakhiyon ko tune maaf liya
meri gustaakhiyon ko tune maaf liya
shukriya shukriya, o shukriya shukriya

har waqt samaayi rehati thi
maayusi meri nigaahon mein
main bhatak jaata, main behek jata
gir jata main inn raahon mein
gir jata main inn raahon mein
o mere saathi mujhe tune tham liya
mere saathi mujhe tune tham liya
shukriya shukriya, o shukriya shukriya

maujon ne teri hi baatein ki
taaron ne tera hi naam liya
jab gulshan se huwa tera gujar
phulon ne bhi daman tham liya
phulon ne bhi daman tham liya
o tune jaanejahaan dil mujhako diya
tune jaanejahaan dil mujhako diya
shukriya shukriya, o shukriya shukriya
o mere bechain dil ko chain tune diya
mere bechain dil ko chain tune diya
shukriya shukriya, o shukriya shukriya
Naam Milakar Chain Churana
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aamne-Saamne/Nain-Mila-Kar-Ch
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam

woh aaya toh kho gayi yeh saari mehfil
woh aaya toh kho gayi yeh saari mehfil
dekha iss andaaj se sab kho baithe dil
thoda sa woh meherbaan thoda sa kaatil
thoda sa woh meherbaan thoda sa kaatil
woh jiski har ek ada par laakho hai iljaam
woh jiski har ek ada par laakho hai iljaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam
are humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam

kiska gussa hai bhala jispe aaye pyaar
kiska gussa hai bhala jispe aaye pyaar
aisa dushman haay re jisko samajhe yaar
socho toh woh kaun hai sharmila dildaar
socho toh woh kaun hai sharmila dildaar
jiski mast nasheeli najre aisi jaise jaam
jiski mast nasheeli najre aisi jaise jaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam

jaagi-jaagi si jara kuchh soyi-soyi
jaagi-jaagi si jara kuchh soyi-soyi
aankhe bhi uss shokh ki hai khoyi-khoyi
shola hai woh phul hai ya sapna koyi
shola hai woh phul hai ya sapna koyi
jiski khaatir koyi bhi ho sakta hai badnaam
jiski khaatir koyi bhi ho sakta hai badnaam
are humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
kabhi raat-din hum dur the
Lyricist: Anand Bakshi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aamne-Saamne/Kabhi-Raat-Din-H
kabhi raat-din hum dur the, din-raat ka abb saath hai
kabhi raat-din hum dur the, din-raat ka abb saath hai
woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai
woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai
kabhi raat-din hum dur the

teri aankh me hai khumaar sa, meri chaal me hai surur sa
teri aankh me hai khumaar sa, meri chaal me hai surur sa
yeh bahaar kuchh hai piye huye, yeh sama nashe me hai chur sa
yeh sama nashe me hai chur sa
kabhi in fijaao me pyaas thi, abb mausam-e-barsaat hai
woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai
kabhi raat-din hum dur the

mujhe tumne kaise badal diya, hairaan hu main is baat par
mujhe tumne kaise badal diya, hairaan hu main is baat par
mera dil dhadakta hai aajkal, teri shaukh najaro se puchhkar
teri shaukh najaro se puchhkar
meri jaan kabhi mere bas me thi, abb jindagi tere haath me hai
woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai
kabhi raat-din hum dur the

yu hi aaj tak rahe hum juda, tumhe kya mila hame kya mila
yu hi aaj tak rahe hum juda, tumhe kya mila hame kya mila
kabhi tum khafa, kabhi hum khafa, kabhi yeh gila, kabhi woh gila
kabhi yeh gila, kabhi woh gila
kitne bure the woh din sanam, kitni hasin yeh raat hai
woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai
kabhi raat-din hum dur the, din-raat ka abb saath hai
kabhi raat-din hum dur the